Present Indefinite Tense

Present Indefinite Tense Iss tense mein urdu fiqray k end pe "ta hai" "ti hai" "tay hain" "ta hoon waghaira aata hai.. Agar subject she, he, it ya koi singular/wahid person ya cheez yehni aik ho to verb k sath "s" ya "es" lagaya jata hai jin verb k end pe "es" "s" "ss" "sh" "ch" "x" ya "o" ho to "es" ka izafa kiya jata jab k agr aise words verb k end pe na h0on to "s" lagaya jaye ga par aik baat note rakhen yeh words tb use h0on gain jab subject wahid/singular hoga
Fiqra banane ka tareeqa subject + Verb + Object. Subject se matlb hai kam karne walo ko kehte hain. Verb means kam kiya jaye, Object mein jis k baray mein kam ho raha hai.
for example: Ali Goes to school, Ali plays cricket, Ali sub se pehle lagaya gaya kyun k ali kam karne wala hay us k bad verb goes aur plays lagai gayi kyun en se pata chalta hay k kam kiya gaya aur baat rahi object men school aur cricket lagayi kyun k en dono k baad baat ki gayi sub tenses ka likhne ka aik he yehi rule hota hay.
Negative Sentence banane ka tareeqa negative se murad koi kam mana kiya jaye, negative bnane k liye wohi tareeqa hoga bas thori si changing krni hogi verb se pehle "do not" ya "does not" lagaya jata jb k verb k sath "s" ya "es" nahi lage ga.. Does not tb lage ga jb subject she, he, it ya singular hoga jo main apko pehle bta chuka hon warna do not lagaya jaye ga,
for example: Ali does not go to school.
Ali does not play cricket.
ali and tariq do not play cricket.
Interrogative sentense banane ka tareeqa: interrogative se means koi baat pochi jaye,
for example: kia ali cricket khelta hay?
Is mein wohi rule hoga bus "Do" ya "does" ko fiqray k shuru mein lagaya jaye ga aur fiqray k end pe "?" yeh sawalia neshan lagaya jata..
For example: Does Ali go to school?
Do they go to school?
agr negative aur interrogative aik sentence mein aa jaye to sub se pehle "do" ya "does" us k bad subject aur phir "not" verb, object waghaira lagaya jaye ga
for example:
Does Ali not go to school?
example:
1. wo cricket khelta hai.
He plays cricket.
2. hum school jate hain.
we go to school.
negative examples:
wo cricket nahi khelta hai.
He does not play cricket.
hum school nahi jate hain.
we do not go to school.
Interrogative Examples:
kia wo cricket khelta hai?
does he play cricket?
kia hum school jate hain?
do we go to school?
agar aap ko kisi baat ki samajh nahi aa rahi hay to comment post karain

1 comment: